Sai Chalisa Song Credit:
- Song - Sai Chalisa
- Singer - Raja Pandit, Harish Gwala
- Lyricist - Das Ganu Maharaj
- Composer - Raja Pandit
- Music Label - T-Series Bhakti Sagar
Sai Chalisa Song Lyrics:
Anant koti brahmand nayak rajadhirajYogiraj parbrahm shree sachchidananda
Sadguru sainath maharaj ki jai
Pehle sai ke charano mein apna shish namau mein
Pehle sai ke charano mein apna shish namau mein
Kaise shirdi sai aaye sara haal sunau mein
Kaun he mata pita kaun he yah na kisi ne bhi jana
Kaha janam sai ne dhara prashn paheli raha bana
Koi kahe ayodhya ke ye ramchandra bhagavan hai
Koi kehta saibaba pavan-putra hanuman hai
Pavan-putra hanuman hai
Koi kehta mangal murti shri gajanan hai sai
Shri gajanan hai sai..shri gajanan hai sai..
Koi kehta gokul-mohan devaki nandan hai sai
Devaki nandan hai sai
Shankar samjh bhagat kayi to baba ko bhajte rehte
Baba ko bhajte rehte..baba ko bhajte rehte..
Koi keh avatar datt ka puja sai ki karte
Puja sai ki karte
Kuch bhi mano unko tum par sai hai sache bhagvan
Bade dayalu denbandhu kitano ko diya hai jivan daan
Kitano ko diya hai jivan daan
Kisi bhagyashali ki shirdi mein aai thi baraat
Aaya saath usi ke tha balak ek bahut sundar
Aaya aakar wahi bas gaya paavan shirdi kiya nagar
Paavan shirdi kiya nagar
Kai dino tak raha bhatkata bhiksha maangi usne dar-dar
Aur dikhai aisi leela jag me jo ho gayi amar
Jag me jo ho gayi amar
Jaise-jaise umar badhi badhati hi vaise gayi shaan
Ghar-ghar hone laga nagar me sai baba ka gungaan
Sai baba ka gungaan
Dig-digant me laga gunjane phir to sai ji ka naam
Deen-dukhi ki rakhsha karna yahi raha baba ka kaam
Yahi raha baba ka kaam
Baba ke charno me jakar jo kahta mein hu nirdhan
Daya usi par hoti unki khul jate dukh ke bandhan
Khul jate dukh ke bandhan
Kabhi kisi ne maangi bhiksha do baba mujh ko santaan
Evam astu kehakar sai dete the usko vardaan
Dete the usko vardaan
Svayam dukhi baba ho jaate deen-dukhijan ka lakh haal
Antahkaran shri sai ka sagar jaisa raha vishal
Sagar jaisa raha vishal
Maal khajana behad uska keval nahi rahi santaan
Laga manane sai naath ko baba mujh par daya karo
Jhanjha se jhankrit naiya ko tum hi mera paar karo
Kuldeepak ke bina andhera chhaya hua hai ghar mein mere
Is liye aaya hun baba ho kar sarnagat tore
Kuldeepak ke abhaav mein vyarth hai daulat ki maaya
Aaj bhikhari ban kar baba sharan tumhari main aaya
De do mujhko putar daan mein rini rahunga jivan bhar
Aur kisi ka aas na mujhko sirf bharosa hai tum par
Anunae-vinae bahut ki usne charno mein dharke shish
Tab parsan hokar baba ne diya bhagat ko yah aashish
‘alla bhala karega tera’ putra janam ho tere ghar
Krapa rahegi tum par meri aur tere us baalak par
Aur tere us baalak par
Ab tak nahi kisi ne paaya sai ki kripa ka paar
Putra ratan de madrasi ko dhany kiya uska sansaar
Tan-man se jo bhaje usi ka jag mein hota hai uddhar
Sach ko aanch nahi hai koi sada jhooth ki hoti haar
Mein hu sada sahaare uske sada rahunga usaka daas
Sai jaisa prabhu mila hai itni hi kam hai kya aas
Mera bhi din tha ek aisa milti nahi mujhe bhi roti
Tan par kapda dur raha tha shesh rahi nanhi si langoti
Sarita sammukh hone par bhi mein pyaasa ka pyaasa tha
Durdin mera mere upar daavagni barasata tha
Dharti ke atirikt jagat mein mera kuch avalamb na tha
Bana bhikhaari main duniya mein dar-dar thokar khata tha
Aise me ek mitar mila jo param bhagat sai ka tha
Janjalo se mukt magar is jagati mein mujh jaisa tha
Baba ke darshan ki khaatir mil kar dono ne kiya vichaar
Sai jaise dayamurti ke darshan ko ho gaye taiyar
Paavan shirdi nagari mein jakar dekhi matvali murti
Dhane janam ho gaya ki hamne jab dekhi sai ki surat
Jab se kiye hai darshan hamne dukh saara kafur ho gaya
Sankat sare mite aur vipadao ka ant ho gaya
Maan aur samman mila bhiksha mein hamko baba se
Pratibimbit ho uthe jagat mein hum sai ki abhe se
Baba ne sammaan diya hai maan diya is jivan mein
Isaka hi sambal le main hansata jaaunga jivan mein
Hansata jaaunga jivan mein
Lagta jagati ke kan-kan mein jaise ho woh bhara hua
Lagta jagati ke kan-kan mein jaise ho woh bhara hua
Kashiram baba ka bhagat is shirdi me rehata tha
Mein sai ka sai mera vah duniya se kahata tha
Sikar svayam vastra bechta gram nagar baajaro mein
Jhankrit usaki hrid tantri thi sai ki jhankaro se
Stabdh nisha thi the soye rajani aanchal mein chand –sitare
Nahi sujhata raha hath ko haath timir ke mare
Vastra bechkar laut raha tha hay haat se kashi
Vichitra bada sanyog ki us din aata tha woh ekaaki
Gher raah me khade ho gaye use kutil anyaayi
Maro kato luto iski hi dhvani padi sunai
Loot piit kar use vahan se kutil ho gaye champat
Aaghato se marmahat ho usne di sangya akho
Bahut der tak pada reha vah vahi usi haalat mein
Jaane kab kuch hosh ho utha usko kisi palak mein
Anjane hi uske muh se nikal pada tha sai
Jiski pratidhvani shirdi me baba ko padi sunaai
Kshubdh utha ho manas unka baba gaye vikal ho
Lagta jaise ghatna sari ghati unhi ke sammukh ho
Unmadi se idhar-udhar tab baba lage bhatakane
Sammukh chije jo bhi aai unko lage patkane
Aur dhadhkate angaro mein baba ne kar dala
Huye sashankit sabhi